sabato 26 marzo 2011

Bohot muddat say aisa hai K woh khamosh rahti hai

Bohot muddat say aisa hai
K woh khamosh rahti hai
Koi ghara gham hai shaid
Jisay chup chap sheti hai
Yune hi chaltay hoe tanha
......Koi gamgeen sa naghma
Woh aksar gungunati hai
Duran-e-guftagu yunhi
Milen nazroon say jab nazrien
To batien bhool jati hai
Kisi gumsum si halat may
Ya phir barish k mosam may
Fakat itna hi khati hai
Udasi bewajha si hai
Bohot bojhal tabita hai
Bhala sach kune nahi khati
Usay mujh say MUHABBAT ha,,,

Zindagi dene vale marta chod gye

Zindagi dene vale marta chod gye,
apnapan jitane vale tanha chod gye,
jab padi zarurat hume apne humsafar ki
vo saath chalne vale apna rasta hi mod gaye …

Meri Khushi Ki Khatir Khud Ko Sanbhaal Rakhna

Meri Khushi Ki Khatir Khud Ko Sanbhaal Rakhna,
Us Ne Kaha Tha Mujh Se
"Apna Khayal Rakhna",
Ye Bhi Kaha Tha Us Ne
''Har Khwab Aarzi Hay",
...Tum Bhi Zehan Mein Apne Hurf-E-Zawaal Rakhna,
Wo Keh Raha Tha Shayed
''Kuch Na Bata Sakou Main",
Mere Saamne Na Tum Bhi Koi Sawal Rakhna,
Wo hans K Keh Raha Tha
"Gham Bhi Tumhen Milen Gey",
Lekin Na Hosla Tum Apna Nidhaal Rakhna,
Har Baat Ka Taqaaza Mujh Se Jo Kar Raha Tha,
Kya Us ka Haq Nahi Tha
"Mera Khayal Rakhna''

Is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai

Is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai
mahtab na suraj na andhera na sawera
ankhon k dariche main kisi husn k jhalkan
...aur dil k panahon main kisi dard ka dera
mumkin hai koi waham ho mumkin hai suna ho
galiyon main kisi chap ka ek akhiri phera
shakhon main khayalon k ghane per k shayad
ab ak karega na koi khwab basera
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
mana k ye sun-san ghari sakht bari hai
lekn mere dil ye to faqat ek ghari hai
himmat karo jine ko abhi umr pari hai

Agar sahil kahoon, kashti kahoon ya nakhuda tum ko

Agar sahil kahoon, kashti kahoon ya nakhuda tum ko,
Agar taqdeer ya inam ya qismat kahoon tum ko,
Agar gunchaa kahoon, lala kahoon, nargis kahoon tum ko,
Kahoon main jaan, ya janan, ya jan e jaan kahoon tum ko,
Agar jharna kahoon, sagar kahoon, darya kahoon tum ko,
...Agar sesha kahoon, mooti kahoon, resham kahoon tum ko,
Ye sarey naam teri zaat ke, pehloo sahi lekin,
Magar jachta nahin koi, ye sarey naam faani hain,
Tumhara naam aisa ho jo tum ko jawadaan kar de,
Tumhain pora byan kar dey,
Suno aa meharbaan larki……….!!
Tumhara naam rakha hai,
Mohabbat……………naam…………..kaisa hai…..??
Mohabbat jo kabhi marti nahin…………!!!
!!…………!!

chehre par itna noor tha

chehre par itna noor tha,
ke uski yaad main rona bhi manzoor tha,
bewafah bhi nahi usko keh sakte faraz
pyaar to humne kia,wo to bekasuur tha