sabato 26 marzo 2011

Bohot muddat say aisa hai K woh khamosh rahti hai

Bohot muddat say aisa hai
K woh khamosh rahti hai
Koi ghara gham hai shaid
Jisay chup chap sheti hai
Yune hi chaltay hoe tanha
......Koi gamgeen sa naghma
Woh aksar gungunati hai
Duran-e-guftagu yunhi
Milen nazroon say jab nazrien
To batien bhool jati hai
Kisi gumsum si halat may
Ya phir barish k mosam may
Fakat itna hi khati hai
Udasi bewajha si hai
Bohot bojhal tabita hai
Bhala sach kune nahi khati
Usay mujh say MUHABBAT ha,,,

Zindagi dene vale marta chod gye

Zindagi dene vale marta chod gye,
apnapan jitane vale tanha chod gye,
jab padi zarurat hume apne humsafar ki
vo saath chalne vale apna rasta hi mod gaye …

Meri Khushi Ki Khatir Khud Ko Sanbhaal Rakhna

Meri Khushi Ki Khatir Khud Ko Sanbhaal Rakhna,
Us Ne Kaha Tha Mujh Se
"Apna Khayal Rakhna",
Ye Bhi Kaha Tha Us Ne
''Har Khwab Aarzi Hay",
...Tum Bhi Zehan Mein Apne Hurf-E-Zawaal Rakhna,
Wo Keh Raha Tha Shayed
''Kuch Na Bata Sakou Main",
Mere Saamne Na Tum Bhi Koi Sawal Rakhna,
Wo hans K Keh Raha Tha
"Gham Bhi Tumhen Milen Gey",
Lekin Na Hosla Tum Apna Nidhaal Rakhna,
Har Baat Ka Taqaaza Mujh Se Jo Kar Raha Tha,
Kya Us ka Haq Nahi Tha
"Mera Khayal Rakhna''

Is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai

Is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai
mahtab na suraj na andhera na sawera
ankhon k dariche main kisi husn k jhalkan
...aur dil k panahon main kisi dard ka dera
mumkin hai koi waham ho mumkin hai suna ho
galiyon main kisi chap ka ek akhiri phera
shakhon main khayalon k ghane per k shayad
ab ak karega na koi khwab basera
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
mana k ye sun-san ghari sakht bari hai
lekn mere dil ye to faqat ek ghari hai
himmat karo jine ko abhi umr pari hai

Agar sahil kahoon, kashti kahoon ya nakhuda tum ko

Agar sahil kahoon, kashti kahoon ya nakhuda tum ko,
Agar taqdeer ya inam ya qismat kahoon tum ko,
Agar gunchaa kahoon, lala kahoon, nargis kahoon tum ko,
Kahoon main jaan, ya janan, ya jan e jaan kahoon tum ko,
Agar jharna kahoon, sagar kahoon, darya kahoon tum ko,
...Agar sesha kahoon, mooti kahoon, resham kahoon tum ko,
Ye sarey naam teri zaat ke, pehloo sahi lekin,
Magar jachta nahin koi, ye sarey naam faani hain,
Tumhara naam aisa ho jo tum ko jawadaan kar de,
Tumhain pora byan kar dey,
Suno aa meharbaan larki……….!!
Tumhara naam rakha hai,
Mohabbat……………naam…………..kaisa hai…..??
Mohabbat jo kabhi marti nahin…………!!!
!!…………!!

chehre par itna noor tha

chehre par itna noor tha,
ke uski yaad main rona bhi manzoor tha,
bewafah bhi nahi usko keh sakte faraz
pyaar to humne kia,wo to bekasuur tha

lunedì 21 marzo 2011

Khud yad na karo

Khud yad na karo
to
wo pochtay b nahi
Or Batain yoon krtay hain jaisay
Talabgar Bohat hain hamary

Jo khayal the na

KiYA TM LOUT AAOGE?

KiYA TM LOUT AAOGE?
Agr main tum se ye keh doon.
Tum hi meri chahat ho,
Tum hi dil ki hasrat ho,
Tum hi dil ki rahat ho,
...KYA TM LOUT AAOGE?
Main rahun agr tanha sa
Main rahun agr khoya sa,
Teri yad may gum sum sa,
Mera dil pukary to!
KYA TM LOUT AAOGE?
Zindagi k is lamhe
Jab main hun tanha sa,
Jab main hun akela sa,
Jab teri zarorat hy
Dil mera ye kehta hy!
Ab “LOUT” aao na.
Dekho yun “STAO” na.
Ab to “LOUT” aao na.

Chalo Phir Shart Lag Jaye,,Mai Sabit Aaj Kr Doon GI

Chalo Phir Shart Lag Jaye,,Mai Sabit Aaj Kr Doon GI,,,,
K Tum Nye Dil Lagi Ki Hai,,,Mohabbat Naam Ki Ki Hai,,,,,,
Sun Kr Us Ki Baaton Ko,,Main BolA,,Sada Dil Larki,,,,
Agar Main Dil Lagi Karta,,,,To Jeeny Se Na Yun Darta,,,,
Mohabbat Naam Ki Karta,,Wafayen Aam Si Karta,,,,
...Magar Phir Bi Teri Taskeen Ki Khatir Ye Kheta Hun,,,,,,
HAAN,,Mai Nye Dil,Lagi Ki Thi,,Tujy Apna Hi Samja Tha,,,,
Tujy Dil Se Lagya Tha,,Jahan Na Koi Gham Pohnche,,,,,,
Wahan Tuj Ko Chupya Tha,,Magar Jaana,n Yakeen Jano,,,
Tumhare Hosley Ki Daad Deta Hoon,,K Kitni Be_Rukhi Se Tum Nye Keh Dala,,,,
CHALO PHR SHART LAG JAYE K TUM NE DIL_LAGI KI HA

Bohat Sajae The Aankhon Mein Khwab Mein ne Bhi

Bohat Sajae The Aankhon Mein Khwab Mein ne Bhi
Sahe hein is ke lye ye azaab mein ne bhi

Judaiyon Ki Khalish Us Ne Bhi Zahir Na ki
Chupae Apne Gham o Iztirab Mein ne Bhi
...
Dye bujha ke sir e shaam so gaya tha wo
Bitaee so ke shab e mahtaab mein ne bhi

Yehi nahin ke us ne mujhe dard e hijr dya
Judaiyon ka dya hai jawab mein ne bhi

Khizan ka waar bohat kargar tha dil pe magar
Bohat bacha ke rakha ye gulab mein ne bhi

Phir is kay baad ye bazaar-e-dill

Phir is kay baad ye bazaar-e-dill nahi'n lagay ga,,,
Khareed leejiye sahib, ye ghulaam aakhri hai.

Hum to uski har khwaish

“Hum to uski har khwaish pori karne ka wada kar bethe,

“humen kya pata humen chorna b uski khwaish thi........

Tum ho Auron ki Mehfil Mein

Tum ho Auron ki Mehfil Mein Masruf...
Yahan Main hoon Aur Alam-e-Tanhaii....

Ab Log Mujhe Tumhare Naam se Jaante hain...
Pata nahi Yeh Meri Shohrat hai ya Ruswaii.......

Dhoka na dena tuj pe etbar baoth hai

domenica 20 marzo 2011

Das kiven mile gyi

TUM UDAS NA HONA

BAS TUM UDAS NA HONA! "
Zindagi ki Rahon mein Onch nech hoti hay,
Faslay bhi bharty hain
Chahatain bhi lut ti hain
Rait kay toofano mein
............Siskiyan bhi rulti hain
Ye bhi ain mumkin hay
Aj hum ikathey hain
Kal ko sath ho na hon
chahea kuch bhi hojay
hoslon ko na khona
Bay'waja bhi na rona
BAS !
TUM UDAS NA HONA

arzoo ya hai k teri har nazar dekha karain

arzoo ya hai k teri har nazar dekha karain..tum he ho samnay hum jidhar dekha karain...ik taraf ho sari dunya ik taraf ho soorat teri..hum tujhay dunya sa ho k bekhabar dekha karain

Main kiss tarha

Main kiss tarha mita sakon ga us ka naam dil sy
Jo mery labon pay saja hy eik Dua ki tarha

Tanha rehna seekh rahe ha¡N

Tanha rehna seekh rahe ha¡N

mar k jeena seekh rahe ha¡n

Pa k khona seekh l¡a ha¡
...
Kho k pana seekh rahe ha¡n

Sabar ko apn¡ rah bana kar

Kanch pe chalna seekh rahe ha¡n

Ph¡rte ph¡rte sehra sehra

P¡yas ko peena seekh rahe ha¡n

Jeene k ha¡n ajab taqaze

Z¡nda rehna seekh rahe ha¡n

TM Bin jeena seekh rahe hain

Bara arman tha us k pyar ko pane ka

Bara arman tha us k pyar ko pane ka
Shikwa hy sirf us k khamosh reh jane ka

Dewangi is se barh k or kya hogi
Mujhe ab bhi intezar hy us k lot aane ka.

Teri hansi main nay mosmon Ki kushboo thi

Teri hansi main nay mosmon
Ki kushboo thi
Naveed hy k badan sy purany
Khawab utry
...
Udas shab main, karhi dopeyher k
Lamhon main
Koi cheragh, koi suraty gulab utry

Teree tara, meri ankhaim bhi
Mo'taber na raheen
Saffer sy qabl hi ruston main wo
Sarab utry

Dhanak dhanak meyri poron k Khawab kar dyga

Dhanak dhanak meyri poron k
Khawab kar dyga
Wo lums mery badan ko
Gulab kar dyga
...
Qabay jesm k har tar sy guzarta hoowa
Keyran ka peyar mujhy aftab kar dyga

Junoon pasand hy del aor tujh tak
Aany main
Badan ko naaw, lahoo ko chanab
Kar dyga

Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak

Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak
Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak
……
...Yahan har taraf hai ajab samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak
Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak
Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak
Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair …!!

Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi

Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi
Gaey dinon mein boht ba kamal thy hum bhi.
Hamari khoj mein rehti thin titlyan aksar
K apny shehr ka husn o jamal thay hum bhi
Zamin ki gode mein sir rakh k so gaey akhir
...…Tumhary hijr mein kitny nidhal thay hum bhi,
Zarorton ney hamara zamir chat lia,
Wgerna,qail-e-rizq-e-halal thay hum bhi.
Hum aks aks bikherty rahy isi dhunn mein,
K zindgi mein kabhi la zawal thay hum bhi.

Tuj ko bhoole hain to kuch dosh zmane ka na tha

Tuj ko bhoole hain to kuch dosh zmane ka na tha/Ab k lgta hai k ye dukh hi thikane ka na tha/Ye jo maqtal se bcha laye saron ko apne/In me ik shakhs bi kia mere gharane ka na tha/Har baras taza kiya ahde mohabat ko abas/Ab khula he k ye tehwar mnane ka na tha/Dosh pr baare zmana bi liye phirte hain/Masala sirf tre naaz uthane ka na tha/Aye din ik nai afat chali ati he Faraz/Ab pasheman hain k ye shehr bsane ka na tha

Kisi se kutch na boleynge

Kisi se kutch na boleynge, tanhai me rolenge,
Kisi se kutch na bnoleynge, tanhai me rolenge,
Ab neend kya ani hai Yaaro,.....
MOOT ai to soleynge....

Ishq Par Zor Nahi.

Ishq Par Zor Nahi...
Hai Yeh Woh Aatish...
Ghalib...
Jo Lagaye Na Lage...
Aur...
...Bujhaye Na Bujhe...

Mujhay aksar sitaron

Mujhay aksar sitaron sa yahi awaz ati hai
Kisi k hijar ma neendain gunwa kar kuch nahi milta..
Jigar ho jaye ga chalni ya ankhen khoon roen gi
Wasi befaiz loagon sa nibha kar kuch nahi milta....!!!

Tabdeeli jab b ati hay

Tabdeeli jab b ati hay moasmon ki adaaon main
Kisi ka yun badal jana bohat he yaad aata hai...!!!

Wahda karo milo ge

Wahda karo milo ge

kal phir ishi jaga

Aye ga do dilon ko
...
Mulaqat ka maza

Chumain gi yeh hawayeen

Bahar kar qadam tumare

Meri tara raheen ge

Bechin yeh nazare

Aye na tum jo milne

To ho ga inhain gilaa

Tum mere humsafar ho

Tum ho mera sahara

Pal bhar ki bhi judayi

Muj ko naheen gawara

Tum hi ho meri manzil

Tum hi mera pata

Wahda karo milo ge?

Aey dost

Aey dost Lab kushaaii Ka moqa Na Dey mujhey
Afsana Zindagii Ka bara dard naak haii ....

Chand phir udaas ha,

Chand phir udaas ha,
Ajnabi sii Rahoon main,
Door tak Nighao main,
Be-Rukhi ka Mausam ha,
…Aaj phir Nighaoon main,
...Beety pal ki pyaas ha,
Phir Raha hoon Darbadar,
Moujzy ki Aas ha,
Aisa lagta ha Jasey,
Chand Phir Udaas ha,
Baat tu karey koi,
Saath tu Chaley koi,
Khamoshi ka Pehra ha,
Zakhm dil ka gehra ha,
Aisa lagta ha jasey,
Chand pher udas ha..

KAL SHAAM MERI ZINDAGI BANA GYA KOI

KAL SHAAM
MERI ZINDAGI BANA GYA KOI
SAR RAKH KY MERE SEENEY PE
DIL KO DHARKA GYA KOI
MAI RAHTA THA NEEND MAI
...MADHOSH HAR WAQT DOSTON
AB JAGTA HI RAHTA JOGNO KI TARAH
ASAY MERI AKHON KO JAGA GYA KOI
WO KHUAB HAY YAHAN KY
HAQEQAT HAY DOSTON
IN ULJANO MAI MUJKO
ULJA GYA KOI
HOI PYAAR KY DAWON PE
KUCH BAAT IS TARAH
OR MARDON KO HI BEWAFA
THEHRA GYA KOI
MAI ULJTA BHI US SE KISTRA
OH MEREY DOSTON
KY JAMAIN MOHABBAT KA
MUJKO BHI PELA GYA KOI
KAL SHAAM

venerdì 18 marzo 2011

Dooriyon Ka Ehsaas

Doorian bahut hai par itna smajh lo,
Pass rahkar hi koi rishta khas nahi hota,
Tum dil ke pas itne ho ki,
Dooriyon ka ehsaas nahi hota.

Karoge yaad ek din

Karoge yaad ek din saath beete zamane ko
Chale jaayenge jis din hum kabhi wapas na aane ko
Karega mehfil mein zikr hamara koi to,
Chale jaaoge tanhai mein aansu bahane ko.

Zindagi hai nadan

Zindagi hai nadan isiliye chup hoon,
Hoth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
Shayad nazron se vo baat ho jaye,
Is ummid se karte hain intezar raat ka,
Ke shayad sapne me mullakat ho jaye

Akele Yeh Zindagi

Chirag se andhere door ho jate,
Toa chand ki chahat kise hoti,
Katt sakti akele yeh zindagi toa
Dosti naam ki ye cheez hi kyo hoti?
Ek din hamare aansoo hum se pooch baithe,
Hame roz roz kyu bulate ho?
Humne kaha, hum yaad unhe karte hai,
Tum kyo chale atte ho?

Falak Ke Teer

Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Kalam uthai hai lafs nahi milta,
Jisko dhund rahe hai wo shaks nahi milta,
Firte hai wo zamane ki talash me,
Bus hamare liye hi unhe waqt nahi milta

Khyalon ko

Khyalon ko kisi ki aas rahti hai ,
Nigahon ko teri talash rahti hai ,
Tere bina koi kami nahi hai ,lekin ,
Tere bagair tabiyat udas rahti hai !

Chandani ratoan

Chandani ratoan main sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yaadon me koi badnaseeb rota hai,
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare.

Yaad karte hai

Yaad karte hai tumhe tanhai mein ,
dil dooba hai gamo ki garai mein,
hume mat dhoundna duniya ki bhid mein,
hum milenge tumhe tumahi parchaai mein.

Barish Ki Bundo Ko

Barish ki bundo ko apni hateli mai sametkar dekho,
Jitni bunde tum samet paye utna yaad tum hame karte ho,
Jitni bunde gir gai utna yaad ham tumhe karte hai.

Mat Karo Koi Wada

Mat karo koi wada jise tum nibha na sako,
Mat chaho use jise tum pa na sako.
Pyar kiska kaha pura hota hai,
Pyar ka pahla akshar hi adhura hota hai…

Bikhre ansu

Bikhre ansu ke moti hon pinaa sake
Teri yaad mein saari raat hum so na sake
Beh na jaaye har yaad teri
Yeh sochkar hum ro na sake…

Wafaa ka silaah

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

Baazi Jitt Ke

Baazi Jitt Ke Hun Asi Han Haar Chale,
Satt Apne Dil Te Ha Maar Chale,
Nai Bhulne Sajna Oh Din Sanu,
Jo Tere Sang Haan Guzaar Chale,
Marke Vi Karange Yaad Tenu,
Aisa Dil’ch Sama Ke Pyar Chale,
Je Koi Bhul Hove Tan Bakhs Devin,
Kar Salam Asi Jandi Vaar Chale,
Mulaqat Mukki Te Vichodda Suru Hoyea,
Uth Mehfilan Chon Ne Yaar Chale….

Matt kar mere dost

Matt kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain
maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain

Unki Mohabbat

Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai …

Teri Wafao Mai

Teri wafao mai sanam
Na watan ke rahe na saffer ke rahe
Bikhri lash ke itne tukde hue
Na kafan ke rahe na dafan ke rahe.

Chand Ne Ki Hogi

Chand ne ki hogi suraj se mohhabat
Isliye to chand main dag hai
Mumkin hai chand se hui hogi bewafai
Isliye to suraj main aag hai

Bewafa sms

Har KHUSHI Ki Inteha Ho Gyi
Meri Barbadi Hi Meri WAFA Reh Gyi
Kaise Mang lu PYAR Us BEWAFA Se
Jub Wo BEWAFA Hi Kisi Aur Ki Ho Gyi

Bewafa sms

Aapki Nashili Yado me Dubkr Humne
Ishq Ki Gehrai ko Samja
Ap to De Rahe The Dhokha
Or Humne Janke Bhi Kabhi aapko Bewafa N Samja

Bewafa sms

Kya Pata Tha PYAR KrKe DiL ToD JaYgi
DiL Me Pyar Bhar K MUH MoD JaYgi
Ae BEWAFA
Tu JisSe B DiL LgaYgi DeKhna
Kbi CHAIN Ki Sans Na Le PaYgi.

Bewafa sms

Zindagi me tujhe chain Na aayega,
Tanhai ka andhera tujhe harpal satayega,
Jab kabhi tujhse v karega koi bewafai,
Tab tujhe mera pyar yaad ayega.

Bewafa sms

Gamo Ki Barsat Samete Baitha Hu,
Kisi Bewafa Se FAREB Khaye Baitha Hu,
Jane Kab Dega Uparwala Maut Mujhe,
Khuda Ke Bharose Aas Lagaye Baitha Hu

Bewafa sms

Uski bewafai pe bhi fida hoti hai jaan apni.....khuda jane agar us mein wafa hoti to kya hota..

Bewafa sms

Sab Kuch Mila Bus Khudai K Siwa
Zindgi Bahut Pasand Aayi Ruswai K Siwa
Meri Chahat Ka Ehsaas B N Hoga
Uski Hr ADAA Pasand Ayi Bewafai K Siwa

giovedì 17 marzo 2011

Zabardasti urdu story 4

Zabardasti urdu story 3

Zabardasti urdu story 2

Zabardasti urdu story 1

Urdu joke

Urdu joke

Urdu cartoon

Urdu joke

Urdu joke

Urdu joke

Hamsafar

BUHT HI MUDAT K BAAD KAL JAB
KITAB-E-MAAZI KO MEINE KHOLA
BUHT SE CHEHRAY NAZR MEI UTRAY
BUHT SE NAMOON PE DIL PASEJA
AIK AISA SAFHA BHE USME AYA
LIKHA HUWA THA JO ANSUOON SE
K JISKA UNWAN "HUMSAFAR" THA
JO SAFHA SABSE HI MAUTABAR THA
KCH AUR ANSU PHR US PE TAPKAY
PHR US SE AGAY MEI PARH NA PAYA
KITAB-E-MAZI KO BANDH KAR K
TUMHARE BATON MEI KHO GAYA MEI
AGR TU MILTA TO KAISA HOTA
INHI KHAYALON MEI SOO GAYA MEI

mercoledì 16 marzo 2011

tere bin.

Dil ko kisi aahat ki aas rehti hai....
Nigah ko kisi chehre ki pyas rehti hai....
Tere bin kisi cheez ki kami to nahi....
Par tere bin zindagi udaas rehti hai....

Dard-e-tanhai

Aao lay jao meray dil kay khazanay
SeeNch daalo yeh apnay gulshan veeranay

TanhaaioN ka zehar piya hai is amrit kay liyay
TaNz-o-fiQroN maiN jiya hai is amrit kay liyay

Barti gayi,barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi
Meri deewanagi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi

Ukta kay uth gaya har aashna kareeb say
Aur ziNdagi ruk gayi us maNzar ajeeb pay

Ik taraf urnay ki lalak
Ik taraf zameeN ki pakar
Ik taraf nai duniya ka shouq
Ik taraf ajnabiyat ka khauf

Magar phit khudi nay behoshi ki aakhri zaNzeer bhi tor di
ParoN maiN apnay hosh ka dum bhar,aasmanoN say hor li

Nigaah phir uth gayi jeet haar kay sawaal say
Ufaq dar ufaq barta gaya noor hosh kay jamaal say

Phir dil dil lay kar gaya yeh wusat-e-ahsaas
Behosh sab hujoom thay laut aayaa maiN udaas

TanhaaioN maiN magar ab bhi
Umeed ki lau jalti hai.

baarish ki boondein

jab barish ki ek bund humare dil par giri
toh hamare dil mein ek becheni se uthi
woh bechani huee
mano jase
kisi apne ne hamare dil par dastak de he
aur hume pegam diya he
ki tum hume kyun yaad karte ho
hum toh hamesha tumhare
dil mein he rahte hein
bas hume mehsus karo
or tumhe asa lagega ki
hum tumhare samne he khade hein

Tum mujhe

Tum mujhe chahoge ek din dekhna
Haan chale aaoge ek din dekhna
Yu karo mat mere jazbon se mazak
Warna pachtaoge ek din dekhna
Soch lo ye berukhi acchi nahi hai
Khud ko tarpaoge ek din dekhna
Mere chehre ki jhalak ke liye
Tum taras jaoge ek din dekhna

mujhe hai ek gila tumse

mujhe hai ek gila tumse
shikayat bhi hai shikwah bhi
mujhe kyu yaad aate ho
kyu mujh ko yu satate ho
mujhe kyu tum tarsate ho
tarsake kyu rulate ho
ye duri kyu majburi kyu
zindagi yu adhoori kyu
kyu mujh ko bhool jaate ho
rulake muskurate ho
ye kaisi teri chahat hai
ye akhir kaisi muhabbat hai
jijhak kyu hai hichak kyu hai
sisak kyu hai kasak kyu hai
mujhe tumse shikayat hai
yehi meri shikayat hai

Barish

Swaab si lagi mujhay
Us din baarish ki woh phuaar
Jab
Meray chayray ka usnay
Apnay aaNchal say poNcha paani

Woh Milta tha Roz

Woh Milta tha Roz hanste hoe hum se
Aarzoo-e-Dil ko Chupa kar hum se

Barso Se Bunta Tha Sapno Ko Palkoon Pe
Par Kahayalo Mein Khe Jata, Hum Se

OOs ki Hichkichaahat the Rokaawat
Par Itebaar Buland The Hum Se

Dil-shaad kar gai uski mahabbat mujhko
Raha Nahi gaya kuch bole bagir humse

Nigaho mein basa Liya us farishta Ko
Aur Keh deya, jo tawaqqo the uski, humse

intezaar mein hain

gul aur gulzar ki mehek hain charoon taraf
hum tho ek kali ke khilne ke intezaar mein hain

bijli aur aatish hain roshan charoon taraf
hum tho ek jugnoo ki roshni ke intezaar mein hain

caravan saje chale ja rahe hain har su
hum tho ek anjaan rahi ke intezaar mein hain

kash aaj tho aaaye woh hamari chaukat pe
ankheen bichaye sadiyoon se unhikay intezaar mein hain

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........

Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,

Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !

Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,

Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!

Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab

Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha

Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,

Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!

mercoledì 9 febbraio 2011

SEND UNLIMITED FREE SMS ALL OVER THE WORLD

LATEST SITE TO SEND UNLIMITED FREE SMS ALL OVER THE WORLD.. WORKS GR8 FOR ME....

visit that web ..

http://www.freesmscraze.com/us/index.html