giovedì 28 ottobre 2010

Yaad Rakhna

Inaam Ke Kabil To Ham Nahi,
Hame Ilzaam Na Dijiye,

Hameri Yaad Apko Ho Na Ho,
Par Gairon Ka Naam Na Dijiye.

meine apne mehboob se kaha

meine apne mehboob se kaha
kyun mujhe zindagi ke manjhdhar par chodh gaye
unhone kaha meine nahi chodha tumhe pagal
zindagi ne he mujhe chodh diya........

abb mein kabar mein hun
orr tumhe wahin se dekh raha hun
bas ekk guzarish he tumse
meri kabar par wahi phul rakha karo
har roz ...
jo mein tumhare balon mein lagaya karta tha...

aaj hum wahi phul unki kabar par dalte hein
lekin ye kambaqt ansoon rukne ka naam nahi lete....

yaad na kar

yaad na kar tu woh haseen pal zindagi key,tujhko aur bhi woh rulatey hain

lakh chahey tu rok le ashqoon ko ,phir bhi yunhi nikal aatey hain

sachi mohabbat karne valoon ka hota hai yahi hal har baar

kashti mein sawaar sab hote hai bas wohi akele kinaroon pe teher jate hain

ansoo ki dhaar

na rokey aaj hamey koi dard mein doob jane de
jitney bhi ansoo kaid hai aaj unko bahane de

suna hai humney pani ki dhaar se patthar bhi katjate hain
dekhenge haal pe mere kya sang dil bhi pigal jatey hain




arey teez bijli ki dhaar bhi na unhey kaat saki
ansoo toh unkay saamney yuhi bekaar mein behjatey hain

pyaar ki ulfat unko kya maloom hai
jinkey jasbaat daulat ke samney bik jaatey hain