sabato 26 marzo 2011

Agar sahil kahoon, kashti kahoon ya nakhuda tum ko

Agar sahil kahoon, kashti kahoon ya nakhuda tum ko,
Agar taqdeer ya inam ya qismat kahoon tum ko,
Agar gunchaa kahoon, lala kahoon, nargis kahoon tum ko,
Kahoon main jaan, ya janan, ya jan e jaan kahoon tum ko,
Agar jharna kahoon, sagar kahoon, darya kahoon tum ko,
...Agar sesha kahoon, mooti kahoon, resham kahoon tum ko,
Ye sarey naam teri zaat ke, pehloo sahi lekin,
Magar jachta nahin koi, ye sarey naam faani hain,
Tumhara naam aisa ho jo tum ko jawadaan kar de,
Tumhain pora byan kar dey,
Suno aa meharbaan larki……….!!
Tumhara naam rakha hai,
Mohabbat……………naam…………..kaisa hai…..??
Mohabbat jo kabhi marti nahin…………!!!
!!…………!!

Nessun commento:

Posta un commento