domenica 20 marzo 2011

Das kiven mile gyi

TUM UDAS NA HONA

BAS TUM UDAS NA HONA! "
Zindagi ki Rahon mein Onch nech hoti hay,
Faslay bhi bharty hain
Chahatain bhi lut ti hain
Rait kay toofano mein
............Siskiyan bhi rulti hain
Ye bhi ain mumkin hay
Aj hum ikathey hain
Kal ko sath ho na hon
chahea kuch bhi hojay
hoslon ko na khona
Bay'waja bhi na rona
BAS !
TUM UDAS NA HONA

arzoo ya hai k teri har nazar dekha karain

arzoo ya hai k teri har nazar dekha karain..tum he ho samnay hum jidhar dekha karain...ik taraf ho sari dunya ik taraf ho soorat teri..hum tujhay dunya sa ho k bekhabar dekha karain

Main kiss tarha

Main kiss tarha mita sakon ga us ka naam dil sy
Jo mery labon pay saja hy eik Dua ki tarha

Tanha rehna seekh rahe ha¡N

Tanha rehna seekh rahe ha¡N

mar k jeena seekh rahe ha¡n

Pa k khona seekh l¡a ha¡
...
Kho k pana seekh rahe ha¡n

Sabar ko apn¡ rah bana kar

Kanch pe chalna seekh rahe ha¡n

Ph¡rte ph¡rte sehra sehra

P¡yas ko peena seekh rahe ha¡n

Jeene k ha¡n ajab taqaze

Z¡nda rehna seekh rahe ha¡n

TM Bin jeena seekh rahe hain

Bara arman tha us k pyar ko pane ka

Bara arman tha us k pyar ko pane ka
Shikwa hy sirf us k khamosh reh jane ka

Dewangi is se barh k or kya hogi
Mujhe ab bhi intezar hy us k lot aane ka.

Teri hansi main nay mosmon Ki kushboo thi

Teri hansi main nay mosmon
Ki kushboo thi
Naveed hy k badan sy purany
Khawab utry
...
Udas shab main, karhi dopeyher k
Lamhon main
Koi cheragh, koi suraty gulab utry

Teree tara, meri ankhaim bhi
Mo'taber na raheen
Saffer sy qabl hi ruston main wo
Sarab utry

Dhanak dhanak meyri poron k Khawab kar dyga

Dhanak dhanak meyri poron k
Khawab kar dyga
Wo lums mery badan ko
Gulab kar dyga
...
Qabay jesm k har tar sy guzarta hoowa
Keyran ka peyar mujhy aftab kar dyga

Junoon pasand hy del aor tujh tak
Aany main
Badan ko naaw, lahoo ko chanab
Kar dyga

Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak

Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak
Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak
……
...Yahan har taraf hai ajab samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak
Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak
Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak
Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair …!!

Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi

Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi
Gaey dinon mein boht ba kamal thy hum bhi.
Hamari khoj mein rehti thin titlyan aksar
K apny shehr ka husn o jamal thay hum bhi
Zamin ki gode mein sir rakh k so gaey akhir
...…Tumhary hijr mein kitny nidhal thay hum bhi,
Zarorton ney hamara zamir chat lia,
Wgerna,qail-e-rizq-e-halal thay hum bhi.
Hum aks aks bikherty rahy isi dhunn mein,
K zindgi mein kabhi la zawal thay hum bhi.

Tuj ko bhoole hain to kuch dosh zmane ka na tha

Tuj ko bhoole hain to kuch dosh zmane ka na tha/Ab k lgta hai k ye dukh hi thikane ka na tha/Ye jo maqtal se bcha laye saron ko apne/In me ik shakhs bi kia mere gharane ka na tha/Har baras taza kiya ahde mohabat ko abas/Ab khula he k ye tehwar mnane ka na tha/Dosh pr baare zmana bi liye phirte hain/Masala sirf tre naaz uthane ka na tha/Aye din ik nai afat chali ati he Faraz/Ab pasheman hain k ye shehr bsane ka na tha

Kisi se kutch na boleynge

Kisi se kutch na boleynge, tanhai me rolenge,
Kisi se kutch na bnoleynge, tanhai me rolenge,
Ab neend kya ani hai Yaaro,.....
MOOT ai to soleynge....

Ishq Par Zor Nahi.

Ishq Par Zor Nahi...
Hai Yeh Woh Aatish...
Ghalib...
Jo Lagaye Na Lage...
Aur...
...Bujhaye Na Bujhe...

Mujhay aksar sitaron

Mujhay aksar sitaron sa yahi awaz ati hai
Kisi k hijar ma neendain gunwa kar kuch nahi milta..
Jigar ho jaye ga chalni ya ankhen khoon roen gi
Wasi befaiz loagon sa nibha kar kuch nahi milta....!!!

Tabdeeli jab b ati hay

Tabdeeli jab b ati hay moasmon ki adaaon main
Kisi ka yun badal jana bohat he yaad aata hai...!!!

Wahda karo milo ge

Wahda karo milo ge

kal phir ishi jaga

Aye ga do dilon ko
...
Mulaqat ka maza

Chumain gi yeh hawayeen

Bahar kar qadam tumare

Meri tara raheen ge

Bechin yeh nazare

Aye na tum jo milne

To ho ga inhain gilaa

Tum mere humsafar ho

Tum ho mera sahara

Pal bhar ki bhi judayi

Muj ko naheen gawara

Tum hi ho meri manzil

Tum hi mera pata

Wahda karo milo ge?

Aey dost

Aey dost Lab kushaaii Ka moqa Na Dey mujhey
Afsana Zindagii Ka bara dard naak haii ....

Chand phir udaas ha,

Chand phir udaas ha,
Ajnabi sii Rahoon main,
Door tak Nighao main,
Be-Rukhi ka Mausam ha,
…Aaj phir Nighaoon main,
...Beety pal ki pyaas ha,
Phir Raha hoon Darbadar,
Moujzy ki Aas ha,
Aisa lagta ha Jasey,
Chand Phir Udaas ha,
Baat tu karey koi,
Saath tu Chaley koi,
Khamoshi ka Pehra ha,
Zakhm dil ka gehra ha,
Aisa lagta ha jasey,
Chand pher udas ha..

KAL SHAAM MERI ZINDAGI BANA GYA KOI

KAL SHAAM
MERI ZINDAGI BANA GYA KOI
SAR RAKH KY MERE SEENEY PE
DIL KO DHARKA GYA KOI
MAI RAHTA THA NEEND MAI
...MADHOSH HAR WAQT DOSTON
AB JAGTA HI RAHTA JOGNO KI TARAH
ASAY MERI AKHON KO JAGA GYA KOI
WO KHUAB HAY YAHAN KY
HAQEQAT HAY DOSTON
IN ULJANO MAI MUJKO
ULJA GYA KOI
HOI PYAAR KY DAWON PE
KUCH BAAT IS TARAH
OR MARDON KO HI BEWAFA
THEHRA GYA KOI
MAI ULJTA BHI US SE KISTRA
OH MEREY DOSTON
KY JAMAIN MOHABBAT KA
MUJKO BHI PELA GYA KOI
KAL SHAAM