mercoledì 16 marzo 2011

tere bin.

Dil ko kisi aahat ki aas rehti hai....
Nigah ko kisi chehre ki pyas rehti hai....
Tere bin kisi cheez ki kami to nahi....
Par tere bin zindagi udaas rehti hai....

Dard-e-tanhai

Aao lay jao meray dil kay khazanay
SeeNch daalo yeh apnay gulshan veeranay

TanhaaioN ka zehar piya hai is amrit kay liyay
TaNz-o-fiQroN maiN jiya hai is amrit kay liyay

Barti gayi,barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi
Meri deewanagi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi

Ukta kay uth gaya har aashna kareeb say
Aur ziNdagi ruk gayi us maNzar ajeeb pay

Ik taraf urnay ki lalak
Ik taraf zameeN ki pakar
Ik taraf nai duniya ka shouq
Ik taraf ajnabiyat ka khauf

Magar phit khudi nay behoshi ki aakhri zaNzeer bhi tor di
ParoN maiN apnay hosh ka dum bhar,aasmanoN say hor li

Nigaah phir uth gayi jeet haar kay sawaal say
Ufaq dar ufaq barta gaya noor hosh kay jamaal say

Phir dil dil lay kar gaya yeh wusat-e-ahsaas
Behosh sab hujoom thay laut aayaa maiN udaas

TanhaaioN maiN magar ab bhi
Umeed ki lau jalti hai.

baarish ki boondein

jab barish ki ek bund humare dil par giri
toh hamare dil mein ek becheni se uthi
woh bechani huee
mano jase
kisi apne ne hamare dil par dastak de he
aur hume pegam diya he
ki tum hume kyun yaad karte ho
hum toh hamesha tumhare
dil mein he rahte hein
bas hume mehsus karo
or tumhe asa lagega ki
hum tumhare samne he khade hein

Tum mujhe

Tum mujhe chahoge ek din dekhna
Haan chale aaoge ek din dekhna
Yu karo mat mere jazbon se mazak
Warna pachtaoge ek din dekhna
Soch lo ye berukhi acchi nahi hai
Khud ko tarpaoge ek din dekhna
Mere chehre ki jhalak ke liye
Tum taras jaoge ek din dekhna

mujhe hai ek gila tumse

mujhe hai ek gila tumse
shikayat bhi hai shikwah bhi
mujhe kyu yaad aate ho
kyu mujh ko yu satate ho
mujhe kyu tum tarsate ho
tarsake kyu rulate ho
ye duri kyu majburi kyu
zindagi yu adhoori kyu
kyu mujh ko bhool jaate ho
rulake muskurate ho
ye kaisi teri chahat hai
ye akhir kaisi muhabbat hai
jijhak kyu hai hichak kyu hai
sisak kyu hai kasak kyu hai
mujhe tumse shikayat hai
yehi meri shikayat hai

Barish

Swaab si lagi mujhay
Us din baarish ki woh phuaar
Jab
Meray chayray ka usnay
Apnay aaNchal say poNcha paani

Woh Milta tha Roz

Woh Milta tha Roz hanste hoe hum se
Aarzoo-e-Dil ko Chupa kar hum se

Barso Se Bunta Tha Sapno Ko Palkoon Pe
Par Kahayalo Mein Khe Jata, Hum Se

OOs ki Hichkichaahat the Rokaawat
Par Itebaar Buland The Hum Se

Dil-shaad kar gai uski mahabbat mujhko
Raha Nahi gaya kuch bole bagir humse

Nigaho mein basa Liya us farishta Ko
Aur Keh deya, jo tawaqqo the uski, humse

intezaar mein hain

gul aur gulzar ki mehek hain charoon taraf
hum tho ek kali ke khilne ke intezaar mein hain

bijli aur aatish hain roshan charoon taraf
hum tho ek jugnoo ki roshni ke intezaar mein hain

caravan saje chale ja rahe hain har su
hum tho ek anjaan rahi ke intezaar mein hain

kash aaj tho aaaye woh hamari chaukat pe
ankheen bichaye sadiyoon se unhikay intezaar mein hain

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........

Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,

Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !

Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,

Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!

Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab

Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha

Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,

Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!