sabato 26 marzo 2011

Is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai

Is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai
mahtab na suraj na andhera na sawera
ankhon k dariche main kisi husn k jhalkan
...aur dil k panahon main kisi dard ka dera
mumkin hai koi waham ho mumkin hai suna ho
galiyon main kisi chap ka ek akhiri phera
shakhon main khayalon k ghane per k shayad
ab ak karega na koi khwab basera
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
mana k ye sun-san ghari sakht bari hai
lekn mere dil ye to faqat ek ghari hai
himmat karo jine ko abhi umr pari hai

Nessun commento:

Posta un commento